baghban bad-guman na ho jae

baghban bad-guman na ho jae
dushman-e-ashiyan na ho jae

gardishen badh rahi hain qismat se
ye zamin aasman na ho jae

muskura to rahe hain aap magar
nazr-e-atish jahan na ho jae

dekh len khud wo tab-e-nazzara
sharm jo darmiyan na ho jae

chutkiyon se teri ye parda-e-dil
jaan-e-man dhajjiyan na ho jae

bijliyon ko hai zid kahin jal kar
khak ye aashiyan na ho jae

teri rudad-e-ishq bhi 'paikan'
qais ki dastan na ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close