baghi hudud se bahut aage nikal gae

baghi hudud se bahut aage nikal gae
suraj chhua na tha ki mere hath jal gae

ye hairaton ke beach mein hairat-zada nuqush
kaise tamashbin the patthar mein dhal gae

jazbaat mein kuchh is tarah us ka badan tha surkh
zanjir aahani ke kade hi pighal gae

bagulon se un ke rup bhagat ban ke aae kuchh
makkhi ko yar chhod ke hathi nigal gae

tile se qahqahon ki phuwaron mein the 'ghani'
tir ek aankh wale achanak uchhal gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close