bagule uth chale the aur na thi kuchh der aandhi mein ki hum se yar se aa ho gai mudbhed aandhi mein jata kar khak ka udna dikha kar gard ka chakkar wahin hum le chale us gul-badan ko gher aandhi mein raqibon ne jo dekha ye uda kar le chala us ko pukare hae ye kaisa hua andher aandhi mein wo daude to bahut lekin unhen aandhi mein kya sujhe zi-bas hum us pari ko lae ghar mein gher aandhi mein chadha kothe pe darwaze ko mund aur khol kar parde laga chhati liye bose kya hat pher aandhi mein wo kothe ka makan wo kali aandhi wo sanam gul-ru ajab rangon ki thahri aa ke hera-pher aandhi mein utha kar taq se shisha laga chhati se dilbar ko nashon mein aish ke kya kya kiya dil sair aandhi mein kabhi bosa kabhi angiya pe hath aur gah sine par lage lutne maze ke sangtare aur bair aandhi mein maze aish o tarab lazzat lage yun tut kar girne ki jaise tut kar mewon ke howen dher aandhi mein raqibon ki main ab khwari kharabi kya likhun bare bhari nathnon mein un ke khak das das ser aandhi mein kisi ki ud gai pagdi kisi ka phat gaya daman gai dhaal aur kisi ki gir padi shamshir aandhi mein 'nazir' aandhi mein kahte hain ki aksar dew hote hain miyan hum ko to le jati hain pariyan gher aandhi mein