bahaar aadhi guzar gai hae hum qaidi hain zindan ke

bahaar aadhi guzar gai hae hum qaidi hain zindan ke
gae kuchh aur kuchh jate hain din chaak-e-gareban ke

hazaron khub-ru gae khak mein gardish se dauran ke
jhalakte rang mein dekho muqayyash reze afshan ke

gaya to dard-e-sar par hasrat-e-zakhm-e-doyam rah gai
wagarna hum teri shamshir ke mare hain ehsan ke

mera lohu bhi baad-az-marg qatil ke tasadduq hai
sanjaf-e-surkh mat samjhe koi gird is ke daman ke

hua hai dagh be-qadri se un ki musht-khun mera
pade koele hi kab mehndi mein dast-o-pa-e-khuban ke

junun se khak ho gae par bhi aashiq hat malte hain
bagule sare mein atkal kiya 'uzlat' bayaban ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close