bahaar aai gulon ko hansi nahin aai

bahaar aai gulon ko hansi nahin aai
kahin se bu teri guftar ki nahin aai

kuchh aur wajah hai kam ho gai hai lazzat-e-jam
hamari pyas mein koi kami nahin aai

ye kaenat sab aaghosh-e-nim-shab mein hai
zamana ho gaya aawaz hi nahin aai

dil ek darakht-e-zamin-bos baad o baran se
ruten guzar gain konpal nai nahin aai

na jaane kaisi ghadi se guzar rahe the hum
ki jagte na rahe nind bhi nahin aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close