bahaar aai hai phir wahshat ke saman hote jate hain

bahaar aai hai phir wahshat ke saman hote jate hain
mere sine mein daghon ke gulistan hote jate hain

mujhe bachpan kar ke dil-dahi bhi hoti jati hai
jafaen karte jate hain pasheman hote jate hain

kahan jata hai ai dil shikwa-e-mehr-o-wafa karne
wahan be-dad karne ke bhi ehsan hote jate hain

'nasim'-e-zinda-dil marne lage hain khub-ruyon par
ghazab hai aise danish-mand nadan hote jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close