bahaar-e-lala-o-gul mein shaguftagi na rahi

bahaar-e-lala-o-gul mein shaguftagi na rahi
wo kya gae ki gulistan mein dilkashi na rahi

jo waqf-e-zinda-dili thi wo zindagi na rahi
palak jhapakte hi duniya mein dilkashi na rahi

hazar shamen farozan jo hain to kya hasil
charagh-e-zist ki aankhon mein raushni na rahi

asir-e-sham-e-alam ko hai intizar-e-sahar
magar hayat sahar tak rahi rahi na rahi

khizan ke daur mein itni kahan thi virani
bhari bahaar mein ek shakh bhi hari na rahi

shab-e-firaq ki zulmat are maaz-allah
sitara-ha-e-falak mein bhi raushni na rahi

mere hi dil mein gham-e-do-jahan samet diya
nawazishat-e-khuda mein koi kami na rahi

kalam bhi tera fariyaad-e-naghma ab hai 'sharif'
hadis-e-zinda-dili teri shaeri na rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close