bahaar ka hai ye mausam magar bahaar nahin dil-e-hazin ko kahin ek pal qarar nahin main muntazir hun sahar to zarur aaegi hawao mera charaghon pe inhisar nahin har ek mod pe tanhaiyon ne sath diya mujhe kisi ka bhi ai dost intizar nahin bata rahe ho ki sahra se laut aaya hun tumhaare daman-e-dil pe kahin ghubar nahin mohabbaton ke fasane mein rah gaya tanha tere sahifa-e-dil mein mera shumar nahin mohabbaton ke qarine badal gae hain bahut yahan kisi ke liye koi sogwar nahin nazar milao haqaeq se tum yahan 'ajmal' khayal-o-khwab ki duniya ka eatibar nahin