bahaaron ke mausam ko kya ho gaya hai

bahaaron ke mausam ko kya ho gaya hai
khizan ka chalan aam sa ho gaya hai

kahin par zamin khun mein tar-ba-tar hai
kahin aasman surkh sa ho gaya hai

har ek samt hai zulmaton ka basera
ujala to jaise khafa ho gaya hai

sulagti hui nafraton se bhare dil
mohabbat ka jazba hawa ho gaya hai

mafadat aur maslahat khud-parasti
fusun kaisa jag mein bapa ho gaya hai

chalo so rahen odh kar hum zamin ko
ki duniya mein jina saza ho gaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close