bahla raha hun dil ko ki gham mo'atabar nahin mana shab-e-hayat meri mukhtasar nahin wo kya gae ki sari masarrat liye gae taskin-e-dil nahin hai qarar-e-jigar nahin mai-kash wahi hain bazm mein jam-o-subu wahi lekin wo dil-nawaz kisi ki nazar nahin ek musht-e-khak ke bhi barabar nahin hai wo dil aashna-e-dard-e-mohabbat agar nahin dair-o-haram mein shaikh-o-barahman hain fitna-saz mahfuz un ke shar se khuda ka bhi ghar nahin har phul sina-chaak hai har shakh sar-nigun sehn-e-chaman mein kaun hai jo nauhagar nahin hum intizar-e-subh-e-bahaaran kiye rahe gulshan mein apne aai nasim-e-sahar nahin main hi hun ek jaanib-e-manzil rawan-dawan rah-e-wafa mein koi mera ham-safar nahin gham-ha-e-rozgar naqib-e-khushi bhi hain wo kaun si hai shab jo amin-e-sahar nahin eajaz hai ye un ki mohabbat ka ai 'zaki' makhfi meri nazar se koi rahguzar nahin