bahr-e-parwaz agar apni KHushi se uDte

bahr-e-parwaz agar apni khushi se udte
hum bhi shahbaz hain hum bhi bahut unche udte

ek sahra hai ki bujhti hi nahin pyas us ki
muddaten guzrin samundar ke kinare udte

fath ke jashn pe chhode the jo hum ne yaro
aasmanon mein kahan tak wo ghubare udte

shahr ka shahr hi aaseb-zada hai shayad
hum ne dekhe hain gali kuchon mein sae udte

qaid-o-band apni jagah dana-o-dam apni jagah
wo jo udna hi nahin jaante kaise udte

hum isi shauq-e-nazara mein hue aawara
kisi khidki kisi darwaze ke parde udte

sard-mehri se teri sard hua mera badan
warna hum zakhm se kuchh khun ke chhinte udte

khinch leta jo koi khun se taswir-e-bahaar
rang-o-bu udte chaman se na parinde udte

farsh ki had se hawaon ne tajawuz na kiya
arsh tak warna meri khak ke zarre udte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close