'bahri' pachhane nin use gul ke so wo dam-saz the chanchal chhabile chulbule maghrur sahab-naz the nin khub dekhe tum use wo aashiqon ka takht tha misl-e-sulaiman bar-hawa dar-nim-shab parwaz the kya parsa ka pairahan aur tujh gada ki gudadi mil ke so apne panw tal jismaniyan sun paz the tammul ke tum ko dur se jo bhul gae apna pisar wo gosh-o-abru khinch kar mizhgan tir-andaz the nadir 'alimullah' kaha ye sher 'bahri' ka jawab ushshaq dilbar sun sada khud hamdam-o-hamraaz the