bahut ajib hai tamir koi ghar karna ram-e-ghazal ko mahdud-e-baam-o-dar karna numu ka zor tha khushbu faza mein lahrai yahi to hai qafas-e-rang mein basar karna qarar maut hai manzil-pazir qadmon ki musafiron ko phir aamada-e-safar karna zamana yaad se teri lipat ke roega mushahida tu ai uftada-e-nazar karna main jis se kat ke juda ho gaya tanawar tha hai us ke nam raqam saya-e-shajar karna baid kya hai ki jugnu se chand dhal jae zara si aanch ko is tarah shoala-war karna kabhi latif badan par shikan bhi phabti hai kabhi ye pairahan aaluda lams-bhar karna