bahut dinon se hai ji mein sawal puchhunga main tere aaine se tera haal puchhunga bahut hasin hai ye duniya magar zawal ke sath khuda se hashr mein husn-e-zawal puchhunga sukut-e-sham se kyun nisbat-e-tabiat hai sukut-e-sham se wajh-e-malal puchhunga tu be-misal hai teri misal kya puchhun main kuchh nahin magar apni misal puchhunga mera khayal hai meri nigah mein hai jamal tere jamal ka kya hai khayal puchhunga kharab aks hain shisha-ba-dast kyun saqi qusur-e-baada-e-jam-e-sifal puchhunga faza udas hai jangal ki saen saen hai 'shaz' main kis se wahshat-e-chashm-e-ghazal puchhunga