bahut kaha tha sukhan-waron mein guzar na karna bahut kaha tha ki baat sunna magar na karna bahut kaha tha ki dubne ka hai dar ziyaada bahut kaha tha ki paniyon ka safar na karna bahut kaha tha ki tum akele na rah sakoge bahut kaha tha ki hum ko yun dar-ba-dar na karna bahut kaha tha wo tum ko pahchanta nahin hai bahut kaha tha tum us ko apni khabar na karna bahut kaha tha ki rabton ko daraaz rakhna bahut kaha tha mohabbaten mukhtasar na karna bahut kaha tha ki ishq aakhir to ishq thahra bahut kaha tha kisi ko is ki khabar na karna bahut kaha tha zamin se rishta na 'tur' tute bahut kaha tha falak ko zer-e-asar na karna