bahut khamosh rah kar jo sadaen mujh ko deta tha bade sundar se jazbon ki qabaen mujh ko deta tha kabhi jo dard ki aatish mujhe sulgane lagti thi wo apne sans ki mahki hawaen mujh ko deta tha wo us ki chahaten bhi to zamane se anokhi thin riyazat khud wo karta tha jazaen mujh ko deta tha mere ehsas ke sahraon mein jo dhup badhti thi wo mausam ka khuda ban kar ghataen mujh ko deta tha use main ajnabi samjha magar har mod par 'ashir' wo apne nam ki sari duaen mujh ko deta tha