baitha hun sar-e-rah tamasha-e-rawan hai simta hua piri ki nigahon mein jahan hai paya tujhe jis ne tujhe har chiz mein paya pane ki yahi ek dalil ek nishan hai har wusat-e-kaunain hai ek aankh ke til mein ek harf mein kun ke baham asbab-e-fakan hai ishrak mein aghraq mein hain aan-o-dawam ek hai munjamid ek bahr to ek sarw rawan hai urdu-e-mualla jise kahta hai zamana wo wirsa-e-aslaf hai wo meri zaban hai us shakhs ki mutthi mein hai sad-nau-e-karamat 'diwana' ki hai khanda-jabin azb-e-bayan hai