baja ki kashti hai para para thapeDe tufan ke kha raha hun

baja ki kashti hai para para thapede tufan ke kha raha hun
magar ye eazaz kam nahin hai ki aap hi apna nakhuda hun

kabhi to main ne dhunak diye hain pahad bhi apne raste ke
kabhi main khud apne raste ki muhib diwaren ho gaya hun

mujhe hai shab-khun ki fikr lekin unhen halakat ka dar nahin hai
mere qabile ke log sote hain aur shab-bhar main jagta hun

meri haqiqat tazad ki is girah ke khulne pe munhasir hai
main waqt ka hun jalil khusraw main ahd ka be-nawa gada hun

ye baat alag hai ki ghuncha ghuncha mere chalan se chatak raha hai
saba ka jhonka hun gulistan se main be-sada sa guzar raha hun

jahan ka shewa sitam tha lekin mujhe wafa se rahi hai nisbat
jahan ghalat tha ki main ghalat tha ye baat rah rah ke sochta hun

meri jabin ka chamakta suraj mere jilau mein sada raha hai
main raat ki zulmaton ko 'arif' azal se lalkarta raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close