bajae shabnam-e-taza gulon pe khak na ho bahaar aae magar koi sina chaak na ho hazar gham se guzarne ke baad bhi ai dil fasana apni mohabbat ka dardnak na ho bharam khule na mohabbat ka ai dil-e-wahshi junun ho josh mein lekin gareban chaak na ho fuzul hai ye tasalli tamasha hamdardi madad ka jazba agar wajah-e-ishtirak na ho hamari rah mein kante kahan se aaenge jo dushmanon ke dilon par hamari dhak na ho hamara khun to shamil ho ghuncha-o-gul mein faza-e-sahn-e-chaman mein hamari khak na ho khuda ka shukr ki dil mera saf hai 'manzar' milun main aur mulaqat mein tapak na ho