bakht-bargashta hain aise jo hawas kar dekhen khak hath aae agar khwab mein bhi zar dekhen bad-nasibi yahi kahti hai jahan zar dekhen idhar aaiye aap aur koi ghar dekhen har-nafas kuch hai aankhon mein hai dam misl-e-habab hashr par wada-e-didar hai kyunkar dekhen hum wo mai-khwar hain juz baada-kashi rah na de istikhara bhi agar tauba-e-mai par dekhen putliyan be-ajal aankhon ki meri phir jaen mardum-e-chashm ko de kar jo wo chakkar dekhen dekhna hai jo unhen meri siyah-kari-e-dil kisi shishe mein siyahi ko kaho bhar dekhen be-qararon mein wo bekas hain ki roe na koi hum tadap kar bhi jo pare ki tarah mar dekhen sada-ruyon se ye qaul-e-dil-e-be-ishq hai 'shad' aap ai aaina-ru aur koi ghar dekhen