baKHt jaga hai tere misr ke bazaron ka

bakht jaga hai tere misr ke bazaron ka
silsila badhta hi jata hai kharidaron ka

tere bad-khwahon ka baqi nahin ab koi nishan
nam leta hai bhala kaun jafa-karon ka

bazm-e-ushshaq mein aana to junun hi lana
ki yahan kaam nahin koi bhi hushyaron ka

sang jitne hain tajalli-gah-e-sad-tur hue
kya muqaddar hai tere shahr ki diwaron ka

ghaus-e-azam ka laqab jis ko mila hai 'sabir'
wahi salar hai sab qafila-salaron ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close