bala-e-jaan hai samar bad-hawas hone ka natija dekh lo tum khud udas hone ka khat-e-muhit hai hablul-warid ke hai qarib yaqin rakh tu use apne pas hone ka hue hain nim-barahna hawas ne kheton mein diya na mauqa hi paida kapas hone ka har ek khayal hai nafs-e-sharir ke tabe magar hai dawa use haq-shanas hone ka lapak ke chhin liya is qadar wo pyasa tha ye ehtimam tha khali gilas hone ka na puchho mujh se main tashrih kar nahin sakta hai hadisa hi ajab qaid-e-yas hone ka mazaq aish ka is darja gir gaya 'sahil' tamasha hota hai ab be-libas hone ka