bala ka zikr kya ye mauj bhi ghanimat hai tamasha dekh rahe hain yahi ghanimat hai kisi ke mal se koi gharaz nahin hum ko hamari jeb mein jo hai wahi ghanimat hai khuli hui hain jo rahen to ye samajh lo tum ki apne shahr ka mausam abhi ghanimat hai hamein hai fakhr ki nisbat ke pasdar hain hum hamare waste har shai badi ghanimat hai khud apne-ap ko patthar bata rahe hain sab nazakaton se hain waqif sabhi ghanimat hai musalahat ki tamanna hui hai to 'rahat' har ek shart hi ab lag rahi ghanimat hai