bala ki dhup thi main jal raha tha badan us ka tha aur saya mera tha kharabe mein tha ek aisa kharaba jahan main sab se chhup ke baithta tha bahut nazdik the taswir mein hum magar wo fasla jo dikh raha tha jahazi qafila duba tha pahle samundar baad mein upar utha tha zamin-o-asman sakit pade the mere kamre ka pankha chal raha tha use bhi ishq ki aadat nahin thi mera bhi pahla pahla tajraba tha mujhe jab tak talasha raushni ne main pura tirgi ka ho chuka tha