ban-bas hue jog liya yar ki khatir dukh sahne ko sukh-chain taja yar ki khatir sahta hun sabhi jaur-o-jafa yar ki khatir har tarah hun raazi-ba-raza yar ki khatir dil de diya main ne agar un ko to ajab kya karte hain sabhi shah-o-gada yar ki khatir wo manzil-e-dushwar ho ya wadi-e-pur-khar tai karta hun main aabla-pa yar ki khatir farmate hain wo shikwa-e-bedad-o-jafa par karte hain sabhi ahl-e-wafa yar ki khatir har ek se duniya mein kiya tark-e-talluq apnon se bhi begana hua yar ki khatir marna bhi pae-dost hayat-e-abadi hai har zahr-e-fana aab-e-baqa yar ki khatir jina pada mar mar ke mohabbat mein 'shahir' aah jo kuchh na hua tha wo hua yar ki khatir