bana hai apne aalam mein wo kuchh aalam jawani ka ki umr-e-khizr se behtar hai ek ek dam jawani ka nahin budhon ki dadhi par miyan ye rang wasme ka kiya hai un ke ek ek baal ne matam jawani ka ye budhe go ki apne munh se shaikhi mein nahin kahte bhara hai aah par in sab ke dil mein gham jawani ka ye piran-e-jahan is waste rote hain ab har dam ki kya kya in ka hangama hua barham jawani ka kisi ki pith kubdi ko bhala khatir mein kya lawe akad mein naujawani ke jo mare dam jawani ka sharab o gul-badan saqi maze aish-o-tarab har-dam bahaar-e-zindagi kahiye to hai mausam jawani ka 'nazir' ab hum udate hain maze kya kya aha-ha-ha banaya hai ajab allah ne aalam jawani ka