bana ke aaina-e-tasawwur jahan dil-e-dagh-dar dekha firaq mein lutf-e-wasl paya khizan mein rang-e-bahaar dekha tamam kaamon ka raste par hamesha dar-o-madar dekha fasad tinat mein jin ki paya har ek sohbat mein khar dekha sambhaala jis din se hosh hum ne watan ko kul chand bar dekha na ki azizon ki gham-gusari na phir ke apna dayar dekha hue jo manus kaj-rawi se phire rah-e-sidq-o-rasti se na baithe ek roz wo khushi se na kuchh ba-juz intishaar dekha bisat-e-aish-o-tarab hai barham ye hai nasheb-o-faraaz-e-alam piyaada hain un ko dekhte hum jinhen hamesha sawar dekha padi hai pichhe kuchh aisi shamat mita rahe hain nishan-e-sarwat bahut azizon ko bahr-e-shohrat ganwate apna waqar dekha jama tha jis waqt rang-e-sohbat tha nek-o-bad mein bhi lutf-e-khullat magar khizan aai ya qayamat na phul dekha na khar dekha dil-o-jigar ko hua gawara kahan surur-e-sharab-e-hasti mila kabhi iztirar mein ye kabhi use be-qarar dekha gaya wo daur-e-siyah-masti raha faqat nam-e-mai-parasti jo zoaf-e-piri mein aankh kholi to kuchh tabiat pe bar dekha 'habib' hum ham-safir-e-bulbul hamesha the gulshan-e-jahan mein wafa ki khu bu ho jis mein wo gul nazar na aaya hazar dekha