banaya hai shahkar yun tere gham ne bahut dad pai sar-e-bazm hum ne hamein kya mila aaj jannat mein aa kar hamein kya diya tha guzishta janam ne sitam ho agar saf kah den ye sab ko hamein mar dala kisi ke karam ne kahen gar to badnam bhi khud hi honge diya hum ko dhoka hamare sanam ne main samjha safar us ki jaanib hai mera kiya dur us se mujhe har qadam ne