banti nahin baat to phir baat kya karen bigde hue hain shahr ke haalat kya karen aati nahin giraft mein sanson ki doriyan hain gardish-e-mudam mein din-raat kya karen lafzon ki ek fauj hai apni kaman mein munh mein nahin zaban to maqalat kya karen tuta talluqat ka har ek silsila thande pade hain wasl ke jazbaat kya karen ai dost chaara-sazi-e-chaara-garan na puchh bad-tar hue hain aur bhi haalat kya karen aish-o-tarab ki mahfilen un ka nasib hain hum ko mile hain dard ke naghmat kya karen