bar-bar jite hain bar-bar marte hain

bar-bar jite hain bar-bar marte hain
yun wafa ki duniya mein apne din guzarte hain

aaj gesu-e-hasti ‘asr-e-nau ke shane se
utne hi ulajhte hain jis qadar sanwarte hain

har qadam pe milte hain tegh-o-dar ke sae
muzhda-e-mohabbat hum phir bhi ‘am karte hain

kis ko hosh rahta hai mai-kade mein hasti ke
us dam aankh khulti hai jab nashe utarte hain

kab nazar mein un ki hai farq-e-kafir-o-din-dar
jo teri mohabbat ka dam jahan mein bharte hain

abr-e-rahmat uthta hai jhum jhum kar paiham
jis maqam se bhi hum ahl-e-gham guzarte hain

khanqah ke din bhi hain do-chaar zulmat se
mai-kade mein raaton ko aaftab ubharte hain

shaikh aur barahman ke hathkande are tauba
aadmi ko begana aadmi se karte hain

shikwa-e-bahaaran kyon kar rahe ho 'rehani'
khun-e-dil khapane se gulsitan nikharte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close