bar-sar-e-reg-e-rawan phul nahin khil sakte

bar-sar-e-reg-e-rawan phul nahin khil sakte
dasht hai dasht yahan phul nahin khil sakte

barwar hogi dua jab use manzur hua
waqt se pahle yahan phul nahin khil sakte

main ne is dil ka nihan-khana dikhaya us ko
us ne puchha tha kahan phul nahin khil sakte

wo jahan chahe wahan rang bichha de apne
us ki nazron se nihan phul nahin khil sakte

farq padta nahin mausam ke badalne se koi
ab zamin hai na zaman phul nahin khil sakte

tum ko is khak se nisbat hai bahut pahle ki
thik kahte the miyan phul nahin khil sakte

aisi mitti mein bhala kasht hi kya ho 'jawed'
mausam-e-gul mein jahan phul nahin khil sakte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close