baraste rose patthar dekhta hun

baraste roz patthar dekhta hun
yahi rona main ghar ghar dekhta hun

nikal kar khud se bahar dekhta hun
samundar apne andar dekhta hun

upaj dugna hai tujh se ab ke mera
main tere sath mil kar dekhta hun

nazar aata hai manzar aur koi
jagah apni se uth kar dekhta hun

hisab apna yahan sab de rahe hain
bapa har samt mahshar dekhta hun

jise tum log behtar kah rahe ho
wahi abtar se abtar dekhta hun

alag andaz mera zawiya bhi
teri duniya se hat kar dekhta hun

ghani hai asl ashiya aur hi kuchh
tumhaare khair ko shar dekhta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close