barasti aag mein ghar se nikal ke dekhte hain

barasti aag mein ghar se nikal ke dekhte hain
hum aaj mom ki surat pighal ke dekhte hain

maqam-e-shukr hai is daur mein bhi ahl-e-nazar
adab ke chehre pe jugnu ghazal ke dekhte hain

hazar hum pe kare tanz dil ka aaina
nae zamana ke sanche mein dhal ke dekhte hain

hamari man hamein pahchanti hai ya ki nahin
watan ki aag ko chehre pe mal ke dekhte hain

dimagh apne makan ka bhi aaj gadbad hai
mizaj shahr ki sadkon ka chal ke dekhte hain

nasheb wale jise sar utha ke dekhte the
nishan mitte usi al-jabal ke dekhte hain

safar hayat ka ek samt ho chuka hai bahut
'shafaq' train ki patri badal ke dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close