barha dub ke har bar ubhar aane ka zindagi nam hai mar mar ke jiye jaane ka mustarad jis ko kiya tu ne bahana kar ke wahi kirdar aham tha tere afsane ka main to suraj ko hatheli pe liye phirta hun main charaghon se miyan khauf nahin khane ka ahl-e-danish hain takabbur mein karen kya sahib un mein jazba hai samajhne ka na samjhane ka hum ne majzub mizaj apna bana rakkha hai hai yahi ek bahana tere yaad aane ka dil-e-muztar ye tadap ishq ka eazaz samajh chain mil jae to har haal mein thukrane ka is liye chand si raushan hain bujhi ho kar bhi meri aankhon mein hai jo khwab tujhe pane ka mai-kashi nam-o-nasab ki jo ghulam aaj hui saqiya raaz khula ab tere maikhane ka tu na majnun hai na farhad na ranjha 'shadab' han magar aks hai tujh mein kisi diwane ka