barha tujh se kaha tha mujhe apna na bana ab mujhe chhod ke duniya mein tamasha na bana ek yahi dukh mere marne ke liye kafi hai jaisa tu chahta tha mujh ko main waisa na bana ek baat aur pate ki main bataun tujh ko aakhirat banti chali jaegi duniya na bana jaan se jaenge hum donon hi tu bhi main bhi main to kahta tha meri jaan mujhe apna na bana ye khuda ban ke riayat nahin karte hain 'wasi' husn walon ko kabhi qibla-o-kaba na bana