barish ke ghanghor hawale ginta rahta hun

barish ke ghanghor hawale ginta rahta hun
lamha lamha baadal kale ginta rahta hun

sadiyan guzrin khwabon ko aankhon mein aae
palkon par makdi ke jale ginta rahta hun

upar wala manzil mujh ko dikhlata hai
aur main apne pair ke chhaale ginta rahta hun

tariki ki lashen ginna kitna mushkil hai
din ke aadam-khor ujale ginta rahta hun

meri chhanw ke tukde khata jata hai suraj
main aangan mein baith niwale ginta rahta hun

pani kitna upar ho to dubunga main
kitne patthar ab tak dale ginta rahta hun

duniya tare ginte ginte soti hai yar
main be-chaara chand ke haale ginta rahta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close