barish nahin lati kabhi aflak se khushbu khud jhum ke uthti hai isi khak se khushbu is bagh-e-tilismat ke phulon ka to kya zikr aati hai wahan ke khas-o-khashak se khushbu so manzar-e-khun-rang the konpal se kali tak phuti nahin yunhi gul-e-sad-chaak se khushbu ehsas ko chhu jae to chhu jae wagarna rahti hai gurezan had-e-idrak se khushbu mahsus to hoti hai agar koi kare to ajdad ki ajdad ki imlak se khushbu