barsat ka udhar hai dimagh aasman par

barsat ka udhar hai dimagh aasman par
chhappar idhar nahin hai hamare makan par

masjid mein us ko dekh ke hairan rah gaya
tanqid kar raha tha jo kal tak azan par

kaghaz ke baal-o-par pe bharosa na kijiye
jaana agar hai aap ko unchi udan par

ab tak ramaq hayat ki paida na ho saki
kya main lahu chhidakta raha hun chatan par

do chaar hath ud ke zamin par jo aa gae
tanqid kar rahe hain hamari udan par

jehl-e-khirad ne tod din sab bandishen 'shahud'
'nasikh' ka ab ijara nahin hai zaban par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close