bas ek kirdar ban kar zindagi humne guzari hai

bas ek kirdar ban kar zindagi hum ne guzari hai
hamari hi kahani mein kahan marzi hamari hai

khuda jaane hai bhola-pan ki us ki inkisari hai
wo kahta hai ki ab dil todne ki us ki bari hai

sataish ki tamanna ne kiya muhtaj duniya par
ki daulat hai magar phir bhi wo jaise ek bhikari hai

meri duniya hai khwabon ki mohabbat ki 'ibaadat ki
ki in baaton se tum ko kya alag duniya tumhaari hai

wo mere to nahin lekin yaqinan main unhin ki hun
so bazi 'ishq ki main ne na jiti hai na haari hai

tamasha dekhna gham ko badhana phir chale jaana
ye kaisi dosti hai aur kaisi gham-gusari hai

‘ayaadat ka dikhawa khub hai lekin yahi sach hai
mere jine na marne mein kahin shirkat tumhaari hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close