bas ek wahm satata hai bar bar mujhe dikhai deta hai patthar ke aar-par mujhe mera khuda hai to mujh mein utar de mujh ko ki ek umr se apna hai intizar mujhe main lafz lafz bikharta raha fazaon mein meri sada se wo karta raha shikar mujhe jo dhaal dete hain parchhaiyon ko patthar mein ab aise sakht-dilon mein na kar shumar mujhe hawa kuchh aisi chali khun ko nishan na mila ghubar-e-rah ko takta hun main ghubar mujhe hisar-e-marg mein ghut jaegi sada teri tu dur hai to zara der tak pukar mujhe