bas najat-e-zindagi to ishq-e-ruhani mein hai ye saza-e-maut sun kar jism hairani mein hai ret par phaila hua hai khwab jaisa ek sarab khushk aankhon ka sukun sahra ke is pani mein hai iztirabi kaifiyat hi is zamin ka hai nasib har ghadi gardish mein hai har dam pareshani mein hai kuchh ghubar aankhon tak aaya raaz hum par tab khula qafila ab bhi koi is dil ki virani mein hai phir kisi tufan ki aamad ka andesha hua phir qayamat si bapa dariya ki tughyani mein hai yunhi aasani se jine ka irada kar liya ye na dekha kitni mushkil aisi aasani mein hai is qadar auraq-e-mazi par chadha gard-o-ghubar shayad ab in ki jagah bahte hue pani mein hai apni mitti se 'alina' ruh ki ulfat to dekh muztarib hai ye bahut gar tu pareshani mein hai