basti basti khat-e-gum-gashta sa aawara hun kal kahan koi mujhe rok le main kya jaanun baal badh jaen ki inkar ki taqat to mile chahe phir apni hi aankhon ki tarah bujh jaun wo khala hai to khala bhi hai hadon ka qaidi main hun aazad to aazadi ka zindani hun zindagi mujh ko ye zanjir-e-hawa de ke udas main pareshan ki main sans liye jata hun sud hone ka ada karna hi hai qiston mein dosto talkh si ek baat kaho tut girun karb sa karb hai be-daur-o-zamana hona us ka ek pal hun to kash ab use yaad aa jaun qarz-khwahon ki tarah waqt! gareban mat tham qahqaha ek kahin rakkha tha diye deta hun