bata tu ai chaman laya kahan se

bata tu ai chaman laya kahan se
teri khushbu to milti hai fulan se

wo ek surat jo kal shab khwab mein thi
yaqinan hogi pariyon ke jahan se

wo kahta hai ki taj de man ki khwahish
milan kaisa zamin ka aasman se

mere chhe foot ka qad bhi haar baitha
faqat do inch ki lambi zaban se

wahin atki hui hai sans meri
kisi se rabt tuta tha jahan se

wo meri zindagi se yun hi nikli
nikalta tir hai jaise kaman se

yaqin ko rah mil sakti hai sahib
nikal jae agar shak darmiyan se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close