bata tu dil ke bachane ki koi rah bhi hai teri nigah ki nawak-fagan panah bhi hai saza ke waste iqrar bhi gunah bhi hai aur ek tum sa koi dusra gawah bhi hai khuda ka ghar bhi hai dil mein buton ki chah bhi hai sanam-kada bhi hai dil apna khanqah bhi hai ajib haal hai duniya-parast logon ka maad ka bhi khayal aur fikr-e-jah bhi hai ilahi khizr kahun ishq ko ki ghol-e-tariq ki rahbar bhi ye hai aur sadd-e-rah bhi hai usi pe marte hain hum aur usi ko chahte hain wahi hai aalim o dana wahi gawah bhi hai gale se aa ke lipat ja khuda ko man o but hai aaj tujh pe bhi jauban uruj-e-mah bhi hai murad tujh se na mangun to kis se mangun main tikad-gada tere dar ka gada bhi shah bhi hai agarche dil se hun banda buton ka main lekin zaban pe kalma-e-tahrim-e-la-ilah bhi hai gunah bakhsh de 'anjum' ke ai rahim o karim ki pur-gunah bhi hai aur uzr-khwah bhi hai dikhaega kise mahshar mein apna munh 'anjum' siyahkar bhi hai aur ru-siyah bhi hai