bayaban ko pashemani bahut hai ki shahron mein bayabani bahut hai mere hansne pe duniya chaunk utthi mujhe bhi khud pe hairani bahut hai chalo sahra ko bhi ab aazmaen suna tha ghar mein aasani bahut hai khuda mahfuz rakkhe fasl-e-dil ko kahin sukha kahin pani bahut hai kahin baadal kahin pedon ke sae ujalon par nigahbani bahut hai bahakna meri fitrat mein nahin par sambhalne mein pareshani bahut hai
Please share if you liked this!!!