bayan-e-shauq pe mail wo kam-nazar honge jo zabt-e-shauq ki lazzat se be-khabar honge laziz ho to hikayat daraaz hoti hai hum ahl-e-gham ke fasane to mukhtasar honge milegi ishq ki un mein bhi kar-farmai wo hadse jo kisi aur nam par honge khula na tha ye kabhi raaz un ki qurbat mein ki dur ho ke wo mujh se qarib-tar honge tu aaftab-e-haqiqat kahin tulua to ho na ho saken tere hum ru-ba-ru magar honge jo gae hain wahi naghme bhi khair mere hain magar jo ga na saka wo hasin-tar honge ab un ka zikr meri guftugu mein hai 'makhmur' ab e'tiraaz meri baat baat par honge