bazar ki fasil bhi rukhsar par male dud-e-charagh jo kisi shorab se jale mathe ki bindi hath ki rakhi dua ke bol bimar ke qarib masihai mein dhale kaghaz ki naw tuta diya tash ka mahal apne hain ham-jalis yahi chand manchale itna to ehtimam rahe aarti ke sath gehun ki fasl ke liye shorab bhi dhale 'ahmad' ab aaftab ke andar bhi aaiye tai ho chuke tamam ujalon ke marhale