bazm-e-‘alam mein khuda jaane ye kya hota hai jo bhi hota hai wo wallah baja hota hai kuchh 'ajab dhang sanwarne ka hai un ke dekho nargisi chashm bhi surme se bhara hota hai dekh kar chand sitare bhi hain ‘ash-‘ash karte mang-tike pe jo yaqut jada hota hai majlis-e-husn mein pahunche jo koi to dekhe kasa-e-baada-e-gul-rang dhara hota hai baada-khwaron pe jo chha jati hai masti us dam rang aankhon mein mohabbat ka chadha hota hai mah-ruon se mohabbat to sarasar hai sitam nazninon pe kahin zulm rawa hota hai 'ishq wo nakhl hai jo ashk se sarsabz na ho barq girti hai to ye nakhl hara hota hai qabr se qais ke har dam ye sada aati hai dil lagana kisi laila se bura hota hai puchha farhad se kyon jaan gai ulfat mein bola hota hai jo manzur-e-khuda hota hai al-gharaz aag mohabbat ki jala deti hai jis tarah aag se simab hawa hota hai ek ‘afifa hai tamanna liye baithi 'ahqar' is liye dard mera had se badha hota hai