bazm-e-alam mein sada hum bhi nahin tum bhi nahin munkir-e-roz-e-jaza tum bhi nahin hum bhi nahin sar-phiri tund hawa hum bhi nahin tum bhi nahin mulk-dushman ba-khuda hum bhi nahin tum bhi nahin kis ke ima pe hai ye khun-kharaba ye fasad qail-e-jaur-o-jafa hum bhi nahin tum bhi nahin jaan aapas ki burai mein ganwa den apni is qadar khud se khafa hum bhi nahin tum bhi nahin hum ko dastur ne bakhshe hain barabar ke huquq koi kamtar na siwa hum bhi nahin tum bhi nahin jazb hai khak-e-watan mein jo buzurgon ka lahu is ki mitti se juda hum bhi nahin tum bhi nahin