bazm-e-jahan-e-shauq ka mehwar bhi main hi tha

bazm-e-jahan-e-shauq ka mehwar bhi main hi tha
auraq-e-dil pe harf-e-mukarrar bhi main hi tha

jitne bhi aks the mere atraf mere the
andar bhi aaine ke main bahar bhi main hi tha

barson se jis pe koi bhi dastak nahin hui
is shahr-e-be-charagh mein wo dar bhi main hi tha

main ne hi us ke husn ko bakhshi thi dilkashi
us paikar-e-jamal ka mazhar bhi main hi tha

ilzam-e-na-muradi-e-manzil main kis ko dun
khud apni rahguzar ka patthar bhi main hi tha

dekha to dur tak mera ham-sar na tha koi
socha to apne qad ke barabar bhi main hi tha

bazm-e-sukhan ki raunaqen sab mere dam se thin
shahr-e-sukhanwaran mein sukhnawar bhi main hi tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close